Urja Sanrakhshan Ke Nare ऊर्जा संरक्षण के नारे

ऊर्जा संरक्षण के नारे



Pradeep Chawla on 01-11-2018


Slogan 1: सभी को मेरा खुला निमन्त्रण, ऊर्जा संरक्षण – ऊर्जा संरक्षण.
Sabhi ko mera khula Nimntran, Urja sanrakshan – Urja sanrakshan.


Slogan 2: चलो अब बिजली बचाए, देश को आगे बढ़ाये.
Chalo ab Bijli bachaye, Desh ko aage badhaye.


Slogan 3: बहुत बिजली की खपत हुई, कहाँ बिजली की बचत हुई.
Bahut Bijli ki khapat hui, Kahan bijli ki bachat hui.


Slogan 4: रोशन करे सारा संसार, बिजली का करे भंडार.
Roshan kare saara sansar, Bijli ka kare Bhandar.


Slogan 5: अब हमें कुछ ऐसा है करना, बिजली खर्च की आदत है बदलना.
Ab hamen kuchh aisa hai karna, Biji kharch ki aadat hai badlna.


Slogan 6: बिजली बचाओ, देश बचाओ.
Bijli bachao, Desh bachao.


Slogan 7: देशभक्ति का दिया जलाये, देश के लिए बिजली बचाए.
Deshbhakti ka diya jalaye, Desh ke liye Bijli bachaye.


Slogan 8: बिना लाइट के सब कंगाल, चारो तरफ रहेगा बबाल.
Bina Light ke sab kangal, Charo taraf rahega Babal.


Slogan 9: बिजली तो असली सोना है, इसे नहीं अब खोना है.
Bijli to asli Sona hai, Ise nahi ab khona hai.


Slogan 10: भविष्य को सुरक्षित है अगर बनाना, तो बिजली को अब से है बचाना.
Bhavishy ko surkshit hai agar banana, To Bijli ko ab se hai Bachana.


Slogan 11: चलो बिजली बचाए, अपना कल बचाए.
Chalo Bijli bachaye, Apna kal Bachaye.


Slogan 12: जीवन आगे बढ़ाना है तो बिजली को बचाना है.
Jeevan aage badhana hai to Bijli ko bachana hai.


Slogan 13: बिजली का सही उपयोग करो, इसका ना दुरूपयोग करो.
Bijli ka sahi upyog karo, Iska na durupyog karo.


Slogan 14: अँधेरे में रह जाओगे, अगर बिजली नहीं बचाओगे.
Andhere me rah jaoge, Agar Bijli nahi bachaoge.


Slogan 15: लाइट की सेविंग, आपके मनी की सेविंग.
Light ki Saving, Aapke Money ki Saving.


Slogan 16: इस जग पर उपकार करो, ऊर्जा का संरक्षण करो.
Is jag par Upkar karo, Urja ka sanrakshan karo.


Slogan 17: लाइट की खपत कम करो, अपने पैसो की बचत करो.
Light ki khapat kam karo, Apne paiso ki bachat karo.

Slogan 18: बिजली को जब बचाओगे, तभी घर को जगमगाओगे.
Bijli ko jab bachaoge, Tabhi ghar ko jagmgaoge.


Slogan 19: बिजली बचाने का करो जतन, यही तो है अनमोल रत्न.
Bijli bachane ka karo Jatan, Yahi to hai Anmol Ratn.


Slogan 20: जीने के लिए खाना खाये, उजाले की लिए बिजली बचाए.
Jine ke liye Khana khaye, Ujale ki liye bijli bachaye.


Slogan 21: जब बिजली को बचाएगा, तभी समझदार कहलायेगा.
Jab bijli ko bachayega, Tabhi samjhdar kahlayega.


Slogan 22: जब यह उजाला रहेगा, तभी तो हमारा कल रहेगा.
Jab yah ujala rahega, Tabhi to hamara kal rahega.


Slogan 23: मैं भी करूँ और तू भी कर, इलेक्ट्रीसिटी को वेस्ट न कर.
Main bhi karun aur tu bhi kar, Electricity ko waiste na kar.


Slogan 24: बिजली की बचत है, देश की बचत.
Bijli ki bachat hai, Desh ki bachat.


Slogan 25: हर बच्चा, बुड्ढा और जवान, बिजली को बचाकर बने महान.
Har Bachcha, Buddha aur jawan, Bijli ko bachakar bane mahan.


Slogan 26: हम सब ने अब ठाना है, बिजली को बचाना है.
Hum sab ne ab thana hai, Bijli ko bachana hai.


Slogan 27: चलो उठो अब फर्ज निभाए, देश के लिए बिजली बचाए.
Chalo utho ab farj nibhaye, Desh ke liye bijli bachaye.


Slogan 28: मैंने तो अपना कर्तव्य निभाया, जब से घर में एलईडी बल्ब लगाया.
Maine to apna kartvy nibhaya, jab se ghar me Led bulb lagaya.


Slogan 29: राष्ट्र हित में बिजली बचाओ, देश का नाम बढाओ.
Rashtr hit me bijli bachao, Desh ka name badhao.


Slogan 30: बिजली की थोड़ी बचत, सच्ची है आपकी बढ़त.
Bijli ki thodi bachat, Sachhi hai aapki badhat.


Slogan 31: चलो सपनो का संसार बनाये, बिजली बचाने का नियम बनाये.
Chalo sapno ka sansar banaye, Bijli bachane ka niyam banaye.


Slogan 32: जन – जन में अब यही है बोल, बिजली – ऊर्जा है अनमोल.
Jan – jan me ab yahi hai bol, Bijli – urja hai anmol.


Slogan 33: विकसित राष्ट्र की करो कल्पना, बिजली बचाने वाले लोग है बनना.
Viksit Rashtr ki karo kalpna, Bijli bachane wale log hai banna.


Slogan 34: भारत देश आगे रहेगा, बिजली बचाव जब बढ़ता रहेगा.
Bharat desh aage rahega, Bijli bachav jab badhta rahega.


Slogan 35: सेव इलेक्ट्रीसिटी, सेव आवर लाइफ.
Save Electricity, Save Our Life.




सम्बन्धित प्रश्न



Comments



नीचे दिए गए विषय पर सवाल जवाब के लिए टॉपिक के लिंक पर क्लिक करें Culture Current affairs International Relations Security and Defence Social Issues English Antonyms English Language English Related Words English Vocabulary Ethics and Values Geography Geography - india Geography -physical Geography-world River Gk GK in Hindi (Samanya Gyan) Hindi language History History - ancient History - medieval History - modern History-world Age Aptitude- Ratio Aptitude-hindi Aptitude-Number System Aptitude-speed and distance Aptitude-Time and works Area Art and Culture Average Decimal Geometry Interest L.C.M.and H.C.F Mixture Number systems Partnership Percentage Pipe and Tanki Profit and loss Ratio Series Simplification Time and distance Train Trigonometry Volume Work and time Biology Chemistry Science Science and Technology Chattishgarh Delhi Gujarat Haryana Jharkhand Jharkhand GK Madhya Pradesh Maharashtra Rajasthan States Uttar Pradesh Uttarakhand Bihar Computer Knowledge Economy Indian culture Physics Polity

Labels: , , , , ,
अपना सवाल पूछेंं या जवाब दें।






Register to Comment